Sunday, October 14, 2012

Gar khamoshi sai fayada, ekhafa-e-haal hai




Gar khamoshi sai fayada, ekhafa-e-haal  hai
Kush hu, ki meri baat smajhana muhal hai.

Saturday, October 13, 2012

Mai, our bajam-e-mai sai, yo tashan kaam aao



Mai, our bajam-e-mai sai, yo tashan kaam aao
gar mai ney ki thi toba,saki ko kya hua tha.

Hai ek teer, jis mai dono chidey padey hai
wah din gaye,ke apna dil se jigar juada tha.

Darmandgi mai Ghalib,kuch ban padey,to janu
jab reshta baigirha tha,nakhoon girha kusha tha.

Monday, October 8, 2012

Kyun kar us but se rakhun jaan azeez



Kyun kar us but se rakhun jaan azeez
kya nahin hai mujhe iman azeez

Dil se nikla, pa na nikla dil se
hai tere tir ka paikan azeez

Tab laye hi banegi, 'Ghalib'
baqia sakht hai aur jan azeez


Sunday, October 7, 2012

Diwangi sey,dosh pe junaar bhi nahi.



Diwangi sey,dosh pe junaar bhi nahi.
yani humari jeab mai ek taar bhi nahi.

Dil ok niyaj-e-hasrat-e-didar bhi nahi
dekha to hum mai takat-e-didaar bhi nahi.


Milna tera agar nahi aasan,to sahal hai.
dushwar to yahi hai, ke dushwar bhi nahi.

wai Ishq ta-umra kat nahi sakti hai,our ya
takat b kadr-e-lazzat-e-azaar bhi nahi.

Shoridgi kai haath sai,hai sar vbal-e-dosh
sahra mai, ey khuda,koi dewaar bhi nahi.

gunjaish-e-tadaidt-earayaar ek tarf
yan dil mai,jonf sai, hawas-yaar bhi nahi.

dar naal ha-ejaar sey marey ,khuda ko maan.
akhir nava-e-mura-e-girftaar bhi nahi.

Dil mai hai yaar ke saf-e-mishangan mai rukshi
akhir nava-e-mura-e-giraftaar bhi nahi.

Is saadgi pe koon na mar jaye,ay khuda
ladtey hai our haat mai talwar bhi nahi.

Dekho asad ko khalat-o-jalwat mai barha
diwana gar nahi hai, to hushiyar bhi hai.

Saturday, October 6, 2012

Daaim para hua tere dar par nahi hun main



Daaim para hua tere dar par nahi hun main
khak aisi zindagi pe,k paththar nahi hun main

Kyun gardish-e-mudam se ghabra na jaye dil
insan hun, pyala-o-sagar nahi hun main

Yarab, zamana mujh ko mitata hai kis liye
lauh-e-jahan pe harf-e-mukarrar nahi hun main

Had chahiye saza mein, uqubat k waste
akhir gunahgar hun, kafir nahi hun main

Kis waste aziz nahi jante mujhe
lal-o-zumarud-o-zar-o-gauhar nahi hun main

Rakhte ho tum qadam meri ankhon se kyun dareg
rutbe mein mahr-o-mah se kamtar nahi hun main

Karte ho mujhko mana-e-qadambos kis liye
kya asman k bhi barabar nahi hun main

'Ghalib' wazifakhwar ho, do shah ko dua
wo din gaye ki kahte the "naukar nahi hun main"

Thursday, October 4, 2012

Zindagi apni jab is shakal se guzri Ghalib



Zindagi apni jab is shakal se guzri, Ghalib.
hum bhi keya yaad karen gey, ke Khuda rakhte they.

Penas mai gujartey hai jo kuchey sey wahey mairey




Penas mai gujartey hai jo kuchey sey wahey mairey.
khandha bhi kaharoon ko badalney nahi detey.

Tuesday, October 2, 2012

Wo firaq aur wo wisal kahan





Wo firaq aur wo wisal kahan
wo shab-o-roz-o-mah-o-sal kahan.

Fursat-e-karobar-e-shauq kise

zauq-e-nazara-e-jamal kahan.

Dil to dil wo dimag bhi na raha

shor-e-sauda-e-khat-o-khal kahan.

Thi wo ik shakhs k tasawur se

ab wo ranai-e-khayal kahan

Aisa asan nahi lahu rona

dil mein taqat jigar mein hal kahan

Hamse chuta qomarkhana-e-ishq

wan jo jayen girah mein mal kahan

Fikr-e-dunya mein sar khpata hun

main kahan aur ye wabal kahan

Muzmahil ho gaye quwe 'Ghalib'

wo anasir mein aitadal kahan

Saturday, September 29, 2012

Mund gayi, kholtey hi kholtey aankhey,galib.


Mund gayi, kholtey hi kholtey aankhey,galib.
yar layae meri bali p usey,par kis waqt

Afsoos, ke dandan ka kiya rizak, falak nai




















Afsoos, ke dandan ka kiya rizak, falak nai
jin longon ke thi,darkhur-e-ikad-e-ghuhar,angushat

Kafi hai nishani tiri, challey ka n dena
khali mujhey dikhla ke, bavaqt-e-safar,angushat

Likhta hu,asad,sojish-e-dil sey,skhun-e-garm.
ta rakh na sakey  koi merey harf karangushat.

Thursday, September 27, 2012

Ho gayi hai gair ki shereri bayani kargar



Ho gayi hai gair ki shereri bayani, kargar
ishq ka usko guma hum bejbano par nahi.

Wednesday, September 26, 2012

Lo hum mareez e ishq kay temardaar hain




Lo hum mareez-e-ishq kay temardaar hain.

achha agr na ho, tou maseeha ka kia ilaaz.

Tuesday, September 25, 2012

Raha gar koi ta qayamat salamat





Raha gar koi ta qayamat, salamat
fir ek roz marna hai,harzat salamat.

Zigar ko merey 'ishq-e-kunaaba mashrab
likhey hai kuda-e-neeimat salamat.

'Alar ram-e-dushman,shaheed-e-wafa hu
mubarak mubarak,salamat salamat.

Nahi gar sar-o-warg-e-edarak-e-maani
tamasha-e-nerang-e-soorat,salamat.

Sunday, September 23, 2012

Dil laga kar lag gaya un ko bhi tanha baithna




Dil laga kar lag gaya un ko bhi tanha baithna
baaray apni bekasi ki hum ne payi daad yaan.

Hain zawaal aamaada ajza aafreenish ke tamaam
mehr-e-gardoon, hai chiraagh e rahguzaar e baad yaan.

Ek ek qatre ka mujhe dena para hisab





Ek ek qatre ka mujhe dena para hisab
khun-e-jigar wadiat-e-mishagan-e-yar tha.

Ab main hun aur matam-e-yak shahar-e-arazu
tora jo tu ne aina timsal dar tha.

Galiyon main meri nash ko khenche phiro k main
jan dad-e-hawa-e-sar-e-rahguzar tha.

Mauj-e-sarab-e-dasht-e-wafa ka na puch hal
har zarra misl-e-jauhar-e-teg abdar tha.

Kam jante the ham bhi gam-e-ishq ko par ab
dekha to kam hue pa gam-e-rozgar tha.

Bas ke dushwar hai har kam ka asan hona



Bas ke dushwar hai har kam ka asan hona
admi ko bhi mayassar nahi insan hona.

Giriya chahe hai kharabi mere kashane ki
dar-o-diwar se tapak hai bayaban hona.

Wa-e-diwangi-e-shauq k har dam mujh ko
ap jana udhar aur ap hi hairan hona.

Jalwa azbas k taqaza-e-nigah karta hai
jauhar-e-aina bhi chahe hai mizagan hona.

Ishrat-e-qatlgah-e-ahal-e-tamanna mat puch
id-e-nazzara hai shamshir ka uriyan hona.

Le gaye khak mein ham dag-e-tamanna-e-nishat
tu ho aur ap basadrang-e-gulistan hona.

Ishrat-e-para-e-dil, zakhm-e-tamannakhana
lazzat-e-rish-e-jigar garq-e-namakdan hona.

Ki mere qatl k bad us ne jafa se tauba
haye us zodpasheman ka pasheman hona.

Haif us char girah kapre ki qismat 'ghalib'
jis ki qismat mein ho ashiq ka gareban hona.

Friday, September 21, 2012

Dost Gamkhwari Main Meri sai Farmayenge Kya



Dost gamkhwari main meri sai farmayenge kya
zakhm k bharne talak nakhun na barh jayenge kya.

Beniyazi had se guzri banda parwar kab talak
ham kahenge hal-e-dil aur ap farmayenge kya.

Hazrat-e-naseh gar ayen dida-o-dil farsh-e-rah
koi mujh ko ye to samjha do k samajhayenge kya.

Aj wan teg-o-kafan bandhe hue jata hun main
uzr mera qatl karne main wo ab layenge kya.

Gar kiya naseh ne ham ko qaid acha yon sahi
ye junun-e-ishq k andaz chut jayenge kya.

Khana zad-e-zulf hain zanjir se bhagenge kya
hain giraftar-e-wafa zindan se ghabarayenge kya.

Hai ab is mamure main qahat-e-gam-e-ulfat asad
ham ne ye mana k dilli main rahe khayenge kya.

Na hoga yak bayaban mandagi se zauq kam mera



Na hoga yak bayaban mandagi se zauq kam mera 
hubab-e-mauj-e-raftar hai, naqsh-e-qadam mera. 

Muhabbat thi chaman se, lekin ab ye bedimagi hai 
ke mauj-e-bu-e-gul se nak mein aata hai dam mera.

Sunday, September 16, 2012

Jaam-e-har zarra, hay sarshar e tamanna mujse


   

Jaam-e-har zarrahay sarshar e tamanna mujse. 

Kis ka DIL hoon k do 'aalam se lagaya hay' mujhe.

Saturday, September 15, 2012

Gair len mahfil mein bose jam k



Gair len mahfil mein bose jam k
ham rahen yun tashna lab, paigam k.

Khastagi ka tum se kya shikwa k ye

hathakande hain charkh-e-nili fam k

Khat likhenge garche matlab kuch na ho

ham to ashiq hain tumhare nam k.



Har ek baat pe kahtey ho tum ki tu kya hai



Har ek baat pe kahtey ho tum k tu kya hai
tumhin kaho k ye andaz-e-guftagu kya hai.

Na shole mein ye karishma na barq mein ye ada
koi batao ki wo shokh-e-tundakhu kya hai.

Ye rashk hai k wo hota hai hamsukhan hamse
wagarna khauf-e-badamozi-e-ad kya hai.

Chipak raha hai badan par lahu se pairahan
hamari jeb ko an hajat-e-rafu kya hai.

Jala hia jism jahan dil bhi jal gaya hoga
kuredate ho jo ab rakh justaju kya hai.

Ragon mein daurate phirne k ham nahi qayal
jab ankh hi se na tapka to phir lahu kya hai.

Wo chiz jis k liye ham ko ho bahisht aziz
siwae bada-e-gulfam-e-mushkabu kya hai.

Piyun sharab agar khum bhi dekh lun do char
ye shisha-o-qadah-o-kuza-o-subu kya hai.

Rahi na taqat-e-guftar aur agar ho bhi
to kis ummid pe kahiye k arazu kya hai.

Bana hai shah ka musahib, phire hai itarata
wagarna shahar mein "ghalib" ki abaru kya hai.

Friday, September 7, 2012

Aaye hai bekasi-e-ishq pe rona 'Ghalib'


Aaye hai bekasi-e-ishq pe rona 'Ghalib'
kiske ghar jayega sailaab-e-balaa mere baad.

Surm-e-mufat-e-nazar hu,miri kimat yehey hai.



Surm-e-mufat-e-nazar hu,miri kimat yehey hai.
ki rahey chazhma-e-kharidar p ehsaa mera.

Rukhasat-e-Naal mujhey dey, ke mabada jalim
tery cheharey sey ho jahir,ram-e-pinha mera.

Baidaad e Ishq Sey Nahi Darta Mager Asad

Baidaad-e-ishq sey nahi darta magar asad 
jiss dill peh naaz tha mujhe, wo dill nahi raha.

Thursday, September 6, 2012

Manea Dasht Navardi koi tatbeer




Manea Dasht Navardi koi tatbeer.
ek chakkar hai,mery paw mai zanzeer

Shonk us dasht mai dodaye hai mujhko ke jahan
jada, gair aj negaha-a-deda-tasveer nahi.

Hasarat-e-lazzat-e-asar rah jati hai
jada-e-rah-a-vafa,junj dam-e-shamshir nahi.

Ranj-e-Nomedi-ajaved, gavara rahiyo
khush hoo gar nala jabuni kash-e-raseer nahi.

Sar khujata hai, jahan jakham-a-sar acha hoo jay
Lazzat-e-sang b andaza-e-takreer nahi.

Jab karam Rukhasat-e-baibaki-o-ghusthaki dai
koi taseer bajuj kajlat-e-taseer nahi.

"Galib"  apna yai akeetda hai, bkool-e-"noseekh"
aap baibhra hai,jo mowtkkeed-e-"Meer" nahi.

Wednesday, September 5, 2012

Hai bas k har ik un k ishare mein nishan aur...





Hai bas k har ik un k ishare mein nishan aur
karte hain muhabbat to guzarta hai guman aur.

Ya rab wo na samjhe hain na samajhenge meri bat
de aur dil un ko jo na de mujhko zuban aur.

Abaru se hai kya us nigah -e-naz ko paiband
hai tir muqarrar magar us ki hai kaman aur.

Tum shahar mein ho to hamein kya gam jab uthenge
le ayenge bazar se jakar dil-o-jan aur.

Logon ko hai khurshid-e-jahan tab ka dhoka
har roz dikhata hun main ik dag-e-nihan aur.

Leta na agar dil tumhen deta koi dam chain
karta jo na marta koi din ah-o-fugan aur.

Pate nahi jab rah to char jate hain nale
rukti hai meri taba to hoti hai rawan aur.

Hain aur bhi duniya mein sukhanawar bahut ache
kahte hain ki 'Ghalib' ka hai andaz-e-bayan aur.

Tuesday, September 4, 2012

Zindagi men to wo mehfil se utha detey they












Zindagi men to wo mehfil se utha detey they 
dekhon ab mar gaey par, kon uthata hae mughey.