Friday, July 18, 2008

rahiye ab aisii jagah chalakar jahaa.N koii na ho...

rahiye ab aisii jagah chalakar jahaa.N koii na ho
hamasuKhan koii na ho aur hamazabaa.N koii na ho

bedar-o-diivaar saa ik ghar banaayaa chaahiye
koii hamasaayaa na ho aur paasabaa.N koii na ho

pa.Diye gar biimaar to koii na ho tiimaaradaar
aur agar mar jaaiiye to nauhaa_Khvaa.N koii na ho

Main unhain chor doon aur kuch na kahay...

mai.n u.nhe.n chhe.Duu.N aur kuch na kahe.n
chal nikalate jo mai piye hote

qahar ho yaa balaa ho, jo kuchh ho
kaash ke tum mere liye hote

merii qismat me.n Gam gar itanaa thaa
dil bhii yaa rab kaii diye hote

aa hii jaataa vo raah par 'Ghalib'
koii din aur bhii jiye hote

Wednesday, July 16, 2008

Kab se hooN, kya bataaooN jahaan-e-KHaraab mein...

miltee hai KHoo-e-yaar se naar iltihaab meiN
kaafir hooN gar na miltee ho raahat ‘azaab meiN

kab se hooN, kya bataaooN jahaan-e-KHaraab meiN ?
shab haaye hijr ko bhee rakhooN gar hisaab meiN

taa fir na intezaar meiN neeNd aaye ‘umr bhar
aane ka ‘ahad kar gaye aaye jo KHwaab meiN

qaasid ke aate-aate KHat ik aur likh rakhooN

maiN jaanta hooN jo woh likhenge jawaab meiN

mujh tak kab unkee bazm meiN aata tha daur-e-jaam

saaqee ne kuchch mila na diya ho sharaab meiN

jo munkir-e-wafa ho fareb us pe kya chale ?
kyooN badGHumaaN hooN dost se dushman ke baab meiN ?

maiN muztarib hooN wasl meiN KHauf-e-raqeeb se
Daala hai tumko weham ne kis pech-o-taab meiN

mai aur haz’z-e-wasl, KHudaa_saaz baat hai
jaaN nazr denee bhool gaya iztiraab meiN

hai tevaree chaDee huee andar naqaab ke
hai ik shikan paDee huee tarf-e-naqaab meiN

laakhauN lagaav, ik churaana nigaah ka
laakhauN banaav, ik bigaaDna itaab meiN

woh naala_dil meiN KHas ke baraabar jagah na paaye
jis naale se shigaaf paDe aaftaab meiN

woh sehar muddaa talbee meiN na kaam aaye
jis sehar se safina ravaaN ho saraab meiN

‘GHalib’ chutee sharaab, par ab bhee kabhee-kabhee

peeta hooN roz-e-abr -o- shab-e-maahtaab meiN

aa ke meri jaan mein qaraar nahin hai....

aa ke meri jaan mein qaraar nahin hai
taaqat-e-bedaad-e-intazaar nahin hai

dete hain jannat hayaat-e-dahar ke badale
nashshaa baa_andaazaa-e-khumaar nahin hai

giriyaa nikaale hai teri bazm se mujh ko
haaye! ki rone pe ikhtiyaar nahin hai

ham se abas hai gumaan-e-ranjish-e-khaatir
khaak mein ushshaq ke gubaar nahin hai

dil se uthaa lutf-e-jalvaa haye ma_ani
gair-e-gul aaiinaa-e-bahaar nahin hai

qatl kaa mere kiyaa hai ahad to baare
vaaye! agar ahad ustavaar nahin hai

tu ne qasam maikashi ki khaai hai ‘Ghalib’
teri qasam ka kuchh aitabaar nahin hai